Hasti Apni Hobaab Ki Si Hai……

Hasti apni hobaab ki si hai                       
Ye numayish sarab ki si hai

Naazuki us lab ki kya kahyee
Pankhuari ek gulaab ki si hai               

Baar baar uske dar pe jata hoon
Haalat    ab    iztrab   ki si hai

Mai jo bola, kaha ye aawaz
Usi khana kharaab ki si hai

Mir Is nim baaz aankhon men
Sari masti sharaab ki si hai


5 thoughts on “Hasti Apni Hobaab Ki Si Hai……

  1. Bro! “Hasti apni hobaab ki si hai” Ye ghazal ghalib ki nhi blke mir taqi mir ki hai. So plz do the correction here….

    1. beradaram ……………. assalam o alaikum
      mai apke comment ka iheteram karta hoon.mai ne site khol kar “Hasti apni hobaab ki si hai”ghazal ko dekha to wo mirza ghalib nahi balke mir taqi mir se mansoob hai.
      ummeed hai aap ab mutmaeen honge..

      aapka khadim
      zulfi jamil

Leave a reply to shashi Cancel reply