Aaiinaa kyuuN na duuN K tamaashaa kaheN jise…

 

Aaiinaa kyuuN na duuN K tamaashaa kaheN jise
Aisaa kahaaN se laauuN K tujhsaa kaheN jise


Hasrat ne laa rakhaa terii bazm-E-Khayaal meN
Guldastaa-E-nigaah suvedaa kahe.n jise


PhuuNkaa hai kisane gosh E muhabbat meN ai Khudaa
Afasuun-E-intazaar E tamannaa kaheN jise


Sar par hujuum-E-dard-E-Ghariibii se Daliye
Vo ek musht-E-Khaak K seharaa kaheN jise


Hai chashm-E-tar meN hasarat-E-diidaar se nihaaN
Shauq-E-inaaN guseKhtaa dariyaa kaheN jise


Darakaar hai shiguftan-E-gul haaye aish ko
Subh-E-bahaar pa.nbaa-E-miinaa kaheN jise


“Ghalib” buraa na maan jo vaaiz buraa kahe
Aisaa bhii koii hai K sab achchhaa kaheN jise

Advertisements

Jaur se baaz aaye par baaz aayaiN kya ?….

 

Jaur se  baaz aaye  par baaz  aayaiN  kya ?
Kehte haiN, ham tumko muNh dikhlayaiN kya ?

Raat din  gardish  meiN haiN  saat aasmaaN
Ho rahega kuchch-na-kuchch ghabraayaiN kya ?

Laag  ho  to   usko  ham   samjhaiN   lagaav
Jab na ho kuchch bhee, to dhoka khayaiN kya ?

Ho  liye   kyuN   naamaabar  ke  saath-saath ?
Yaar! apne KHat ko ham pahuNchaayaiN kya ?

Mauj-E-KHooN sar se guzar hee kyuN na jaaye
Aastaan-E-yaar    se    uTh   jaayaiN   kya ?

Umr  bhar dekhaa  kiye marne kee raah
Mar gaye par dekhiye dikhlaayaiN kya ?

Poochchte haiN woh K ‘GHalib’ kaun hai ?
Koee  batlaao   K  ham  batlaayaiN  kya ?

Yeh na thee hamari Qismat K wisaal E yaar hota….

 

Yeh na thee hamari Qismat K wisaal E yaar hota
Agar aur jeete rahtay,  yehi intezaar hota

Tere waa’de par jiyee ham to yeh jaan chhooT jana
K khushi se mar na jaate!!!  agar intezaar hota

Koi mere dil se poochhe, tere teer E neem kash ko
Yeh khalish kahaaN se hoti, jo jigar k paar hota

Yeh kahaaN ki dosti hai K bane haiN dost naaseh
Koi chaaraa saaz hota koi Ghamghusaar hota

KahuN kis se maiN K kya hai shab E Gham buri bala hai
Mujhe kya bura tha marnaa agar aik baar hota

Hue mar K ham jo ruswa hue kyuN ka Gharq E dariya
Na kabhi janazaa uthta na kahiN mazaar hota

Yeh masaael E tasavvuf, yeh tera bayaan ‘Ghalib’
Tujhe ham wali samajhte Jo na baadaakhaar hota

Dil E naadaaN tujhe huaa kya hai….

 

Dil  E naadaaN  tujhe  huaa  kya  hai
Aakhir  iss  dard  kii  davaa  kya  hai

Hum  haiN  mushtaaQ  aur  woh  bezaar
Yaa  ilaahee  yeh  maajraa  kya  hai

MaiN  bhi  muNh  me  zabaan  rakhta  huN
Kaash poochho  K muddu’aa  kya  hai

Jab  K  thujh  bin  naheeN  koi  maujood
Phir yeh  hangaamaa  ae  Khuda  kya  hai

Yeh  paree  chehra  log  kaise  haiN
Ghamza O  ishwa O  adaa  kya hai

Shikan E zulf E anbareeN  kyuN  hai
Nigah  chashm E  surma  sa  kya  hai

Sabza O gul  kahaaN  se  aaye  haiN
Abr  kyaa  cheez  hai,  havaaa  kya  hai

Hum  ko  un se  wafa  ki  hai  ummeed
Jo  naheeN  jaante  wafa  kya  hai

HaaN  bhala  kar  tera  bhala  hogaa
Aur  darvaesh  kee  sadaa  kya  hai

Jaan  tum  par  nissaar  karta hooN
Main naheeN jaanta du’aa  kya  hai

MaiN  ne  mana  K  kuchh  nahi  ‘Ghalib’
Muft  haath  aaye  to  buraa  kya  hai

Ishq mujhko nahin wahshat hi sahi….

 

Ishq mujhko nahin wahshat hi sahi
Meri wahshat teri shohrat hi sahi

Qat’aa kieje na taa’alluq hum se
Kuchh nahin hai to adaawat hi sahi

Mere hone main hai kya ruswaai
Ye woh majlis nahin khalwat hi sahi

Hum bhi dushman to nahin hain apne
Ghair ko tujh se mohabbat hi sahi

Apni hasti hi se ho jo kuchh ho
Aagahi gar nahin ghaflat hi sahi

Umr harchand k hai barq-E-kharaam
Dil ko khuN karne ki fursat hi sahi

Hum koi tark-e-wafaa karte hain
Naa sahi ishq, museebat hi sahi

Kuchh to de Ae falak-e-na-insaaf
Aah-o-fariyaad ki rukhsat hi sahi

Hum bhi tasleem ki khuu dalenge
Be – neyaazi teri aadat hi sahi!!!

Yaar se chheR chali jaaye “Asad”
Gar nahin wasl to hasrat hi sahi

Dil hi to hai na sang-o-khisht, dard se…

 

Dil hi to hai na sang-o-khisht, dard se bhar na aaye kyuN
RoyeNge ham hazaar baar koi hameiN sataaye  kyuN

Dair nahi, haram nahi, dar nahi, aastaN nahi
Baithe hain rahguzar pe ham, ghair hamein uthaaye kyuN

Jab wo jamal-e-dilfaroz, surat-e-mahr-e-nimaroz
Aap hi ho nazaarasoz, parde mein munh chupaaye kyuN

Dashna-e-gamza jansitaN, nawak-e-naz bepanaah
Tera hi aks-e-rukh sahi, samane tere aaye kyuN

Qaid-e-hayat-o-band-e-gham asl mein donoN ek haiN
Maut se pahle aadmi gham se najat paaye   kyuN

Husn aur us pe husn-e-zan rah gayi bulahawas ki sharm
Apne pe etimaad hai ghair ko aazamaaye   kyuN

WaN wo ghuroor-e-izz-o-naz, yaN ye hijab-e-pas waz’a
Raah mein ham milen kahaN, bazm mein wo bulaaye kyuN

HaaN wo nahi khudaparast, jaao wo bewafa sahi
Jisko ho din-o-dil aziz, us ki gali mein jaaye kyuN

“Ghalib”-e-khastaa k baghair kaun se kam band haiN
Roiye zar-zar kyaa, kijiye haaye-haaye kyuN


Jaur se baaz aaye par baaz aayaiN kya ?..

Jaur se  baaz aaye  par baaz  aayaiN  kya ?
Kehte haiN, ham tumko muNh dikhlayaiN kya ?

Raat din  gardish  meiN haiN  saat aasmaaN
Ho rahega kuchch-na-kuchch ghabraayaiN kya ?

Laag  ho  to   usko  ham   samjhaiN   lagaav
Jab na ho kuchch bhee, to dhoka khayaiN kya ?

Ho  liye   kyuN   naamaabar  ke  saath-saath ?
Yaar! apne KHat ko ham pahuNchaayaiN kya ?

Mauj-E-KHooN sar se guzar hee kyuN na jaaye
Aastaan-E-yaar    se    uTh   jaayaiN   kya ?

Umr  bhar dekhaa  kiye marne kee raah
Mar gaye par dekhiye dikhlaayaiN kya ?

Poochchte haiN woh K ‘GHalib’ kaun hai ?
Koee  batlaao   K  ham  batlaayaiN  kya ?