Posts Tagged ‘Ibn e Insha Ghazal’
Apne humaraah jo aate ho idhar se pahle
Dasht pa Data hai miyaaN ishq meN ghar se pahle
Chal diye uth ke suu-e-shahar-e-wafaa kuu-e-habeeb
Puuchh lenaa thaa kisi Khaak basar se pahale
Ishq pahale bhii kiyaa hijr kaa Gham bhii dekhaa
Itane ta Dape hai.n na ghabaraaye na tarase pahale
Ji bahalata hi nahiN ab koyee sa’at koyee pal
Raat Dhalatii hii nahiN chaar pahar se pahale
Hum kisi dar pe na ThiThake na kahiN dastak di
Saika Do dar the meri jaaN tere dar se pahale
ChaaNd se aaNkh mili ji ka ujaala jaaga
hum ko sau baar huyee subah sahar se pahale
Lub per naam kisi ka ho, dil meN tera naqsha hai
Aay tasweer bananey wali, jab sey tujh ko dekha hai
Be tere kya wahshat hum ko, tujh bin kaisa sabR-o sukooN
Tu hi apna sheher hai jaani, tu hi apna sehra hai
Neeley perbat, oodhi dharti, charoo.b koot main tu hi tu
Tujh sey apney jee ki khalwat, tujh sey mun ka maila hai
Aaj tu hum bikne ko aay, aaj humarey daam laga
Yousuf tu bazaar-e wafa main, aik tikey ko bikta hay
Lay jaani ab apne mun k pairahan ki girhaiN khol
Lay jaani ab aadhi shab hay, charoo.n taraf sanata hai
TufaaN ki baat nahi hay, tofaaN aate jaate rehte hain
Tu ek narm hawa ka jhonka, dil k baagh main tehra hai
Ya tu aaj humai.n apna lay, ya tu aaj humara ban
Dekh k waqt guzarta jaa, koun abad tak jeeta hai
Firda mehez fasoo.n ka parda, hum tu aaj k bandey hain
Hij’r-o wasl,wafa aur dhoka sab kuch aa j pe rakhta hai
Farz karo hum ahl-e-wafaa hoN, farz karo diivaane hoN
Farz karo ye donoN baateN jhuTii hoN afsaane hoN
Farz karo ye ji ki biptaa ji se jor ? sunaayi ho
Farz karo abhi aur ho itni aadhi hum ne chhupaayi hoN
Farz karo tumheN Khush karne ke dhuuNde hum ne bahaane hoN
Farz karo ye nain tumhare sach-much ke maiKhaane hoN
Farz karo ye rog ho jhuTaa jhuuTi peet hamaari ho
Farz karo is peet ke rog meN saaNs bhi hum pe bhaari hoN
Farz karo ye jog-bijog kaa hamne Dhong rachaayaa ho
Farz karo bas yahi haqiiqat baqui sab kuch maayaa hoN
Daikh hamaray mathay pe yeh dasht-e-talab ki dhool miyaan
Hum se ajab tera dard ka nata,daikh hmain mut bhool miyaan
Ahl-e-wafa se baat na karna ho ga tera usool miyaan
Hum kioun phairain in galyoon k phairoN ka ma’mool miyaan
Yunhi to nahi dasht main pohnchay,yunhi to nahi jog liya
Basti basti kantay daikhay jangal jangal phool miyaan
Yeh to kaho kabhi ishq kia ha?jag main hoye ho ruswa bhi
Is k siwa hum kuch na puuchain baqi baat fazool miyaan
Nasb karain mehraab-e-tamanna,deeda-o-dil ko farsh karain
Suntay hain wo kooe-wafa main aaj karain gay nazool miyaan
Sun to liya kisi naar ki khatir kata koh, nikali nehr
Ik zara say Qissay ko ab daitay ho kioun tool miyaan
Khailnay day inhain ishq ki baazi,khailain gay to seekhain gay
Qais ki ya Farhad ki khatir kholain kiya iskool miyaan?
Ab to hamain manzoor hai yeh bhi,shehr se niklain,ruswa hoN
Tujh ko daikha, baatain kar leen,mehnat hoi wasool miyaan
Insha jee kiya uzr hai tm ko, naqd-e-dil-o-jaan nazr karo
Roop nagar kay nakay per yeh lagta hai mehsool miyaan!!
Raat ke Khaab sunaayeN kis ko raat ke Khaab suhaane the
DhuNdhle dhuNdhle chehre the par sab jaane pahchaane the
Ziddii vahshii alhaR chanchal miiThe log rasiile log
HoNT un ke GhazaloN ke misr’e aaNkhoN meN afsaane the
Ye laRkii to in galiyoN meN roz hii ghuumaa kartii thii
Is se un ko milnaa thaa to is ke laakh bahaane the
Ham ko saarii raat jagaayaa jalte bujhte taaroN ne
Ham kyuuN un ke dar pe utre kitne aur Thikaane the
Vahshat kii unvaan hamaarii in meN se jo naar banii
DekheNge to log kaheNge ‘Insha’ ji diiivaane the
Jab dahr ke gham se amaaN na milii, hum logoN ne ishQ eejaad kiya
Kabhi shahr E butaaN me kharaab phire kabhi dasht E junuN aabaad kiya
Kabhi bastiyaaN ban, kabhi koh O daman, raha kitne dinoN yahi ji ka chalan
JahaaN husn mila wahaaN baith rahe, jahaaN pyar mila wahaN saad kiya
Shab E maah me jab bhi yeh dard uTha, kabhi bait kahe (likhi ‘Chand Nagar’)
Kabhi koh se jaa sar phoR mare, kabhi kabhi Qais ko jaa ustaad kiya
Yahi ishQ bil-aakhir rog banaa, K hai chaah k saath bijog banaa
Jise ban_na tha aish woh sog banaa, baRa man ke nagar me fasaad kiya
Ab qurbat O sohbat E yaar kahaaN, lab O aariz O zulf O kinaar kahaN
Ab apna bhi ‘Meer’ sa aalam hai, Tuk dekh liya, ji shaad kiya
Dekh hamari deed ke karan kaisa Qaabil E deed hua
Ek sitaara baiThe baiThe taabish meN khursheed hua
Aaj to jaani, rastaa takte, shaam ka chaNd padeed hua
Tu ne to inkaar kiya tha, dil kab naa-ummeed hua??
Aan ke is beemaar ko dekhe!! tujh ko bhi taufeeQ hui?
Lab pe us ke naam tha tera, jab bhi dard shadeed hua
HaaN us ne jhalak dikhlayi, ek hi pal ko dreeche meN
Jaano ek bijli lahraayi, aalam ek shaheed hua
Tu ne hum se kalaam bhi chhoRa, arz E wafaa k sunte hi
Pahle kaun Qareeb tha hum se, ab to aur ba’eed hua
Duniya ke sab karaj chhoRe, naam pe tere ‘Insha’ ne
Aur use kya thoRe Gham the? tera ishq mazeed hua
Insha Ji Utho, Ab Kooch Karo, Iss Shahr Mai Ji Ka Lagana Kya
Wahshi Ko Sukoo’N Say Kya Matlab, Jogi Ka Nagar MaiN Thikana Kya
Iss Dil K Dareeda Daaman Ko, Dekho To Sahi, Socho To Sahi
Jiss Jholi Mai Sau Chaid Huay, Uss Jholi Ka Phailana Kya
Shab Beeti Chaand Bhi Doob Chala, Zanjeer Pari Darvazay Mai
KyuN Dair Gaaye Ghar Aaye Ho, Sajni Say Karo Gay Bahana Kya
Phir Hijar Ki Lambi Raat Miaan, Sanjog Ki To Hai Aik Ghari
Jo Dil Mai Hai Lab Par Aanay Do, Sharmana Kya Ghabrana Kya
Uss Roz Jo Unko Dekha Hai, Abb Khuwaab Ka Aalam Lagta Hai
Uss Roz Jo Unn Say Baat Huee, Wo Baat Bhi Thi Afsana Kya
Iss Husan K Suchchay Moti Ko, Hum Dekh Sakain Par Chhoo Na SakaiN
Jise Dekh Sakain Par Chu Na Sakain, Wo Daulat Kya Wo Khazana Kya
Usko Bhi Jala Dukhtay Huay Mun, Ik Shola Aag Bhabhuka Bann
Younh Aansu Mai Behh Jana Kya, Younh Maati Mai Mil Jana Kya
Jab Shahr K Log Na Rasta DaiN, KyuN Bann Mai Na Ja Basraam Kare
Deewano’n Ki See Na Baat Karay, To Aur Karay Dewana Kya